Munawwar Hashmi

ek aisa moD sar-e-rahguzar bhi aaega

Munawwar Hashmi

ik aisā moḌ sar-e-rahguzar bhī aa.egā
vufūr-e-ḳhauf meñ lutf-e-safar bhī aa.egā
ye us kā shahr hai us kī mahak batātī hai
zarā talāsh karo us kā ghar bhī aa.egā
isī yaqīn par har zulm sahte rahte haiñ
ki shāḳh-e-sabr pe ik din samar bhī aa.egā
qarīb-e-manzil-e-jānāñ surūr-e-dil ke saath
junūñ kī fitna-tarāzī se Dar bhī aa.egā
khule raheñge darīche is aas par ghar ke
kabhī to jhoñkā havā kā idhar bhī aa.egā
chhupā.e phirne se kab ishq-o-mushk chhupte haiñ
chaḌhegā chāñd to sab ko nazar bhī aa.egā
ab us ke band kivāḌoñ ke paas baiTh raheñ
jo shaḳhs ghar se gayā hai vo ghar bhī aa.egā
sarishk-e-ḳhūñ kī tarah lafz aañkh se Tapkeñ
to phir duā meñ 'munavār' asar bhī aa.egā
Top Urdushayar.com