sar uThā.egī agar rasm-e-jafā mere ba.ad
mujh ko DhūñDegā mirā dasht-e-anā mere ba.ad
apnī āvāz kī sūrat meñ rahūñgā zinda
mere parcham ko uḌā.egī havā mere ba.ad
apne kūche se chale jaane pe majbūr na kar
kis se pūchhegā koī terā pata mere ba.ad
itnī ummīd to hai apne pisar se mujh ko
merī turbat pe jalā.egā diyā mere ba.ad
ishq duniyā pe ināyāt kiye jaatā hai
kis ko karne haiñ ye sab qarz adā mere ba.ad
phuul sahrā meñ khilā.e haiñ 'munavār' maiñ ne
taaki mahkī rahe kuchh der fazā mere ba.ad