ishq kā e.atibār haiñ ham log
zindagī kā vaqār haiñ ham log
gard-e-lail-o-nahār haiñ lekin
ġhāza-e-nau-bahār haiñ ham log
sar pe bār-e-falak uThā.e haiñ
go nahīf-o-nazār haiñ ham log
dushmanoñ ke liye payām-e-marg
aur yāroñ ke yaar haiñ ham log
zindagānī gañvā na de ham ko
hāsil-e-rozgār haiñ ham log
ik safar tīrgī meñ jaarī hai
asp-e-shab par savār haiñ ham log
husn kī qadr hai hameñ ma.alūm
shā.iroñ meñ shumār haiñ ham log
aa.ina dekhnā bhī hai mushkil
is qadar sharmsār haiñ ham log
ham 'munavār' haiñ pāsbāñ gul ke
is gulistāñ meñ ḳhaar haiñ ham log