sab kī āvāz meñ āvāz milā rakkhī hai
apnī pahchān magar sab se judā rakkhī hai
jaane kis raah se aa jaa.e vo aane vaalā
maiñ ne har samt se dīvār girā rakkhī hai
aisā hotā hai ki patthar bhī pighal jaatā hai
tū ne siine meñ magar chiiz ye kyā rakkhī hai
zaḳhm-ḳhurda sahī afsurda sahī apnī jabīñ
jaisī bhī hai terī dahlīz pe lā rakkhī hai
us ne mujh se bhī tirī saarī kahānī kah dī
jis ne tujh ko mirī har baat sunā rakkhī hai
mere siine meñ 'munavār' hai usī shoḳh kā ġham
jis ke siine meñ mire ġham kī davā rakkhī hai