ham apnī jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb le ke chale
vo kyā savāl the jin ke javāb le ke chale
pahan lī karb kī poshāk rāh-e-hastī meñ
ham apne vāste ḳhud hī azaab le ke chale
ye aur baat ke jugnū asiir kar na sake
hatheliyoñ pe magar āftāb le ke chale
varaq varaq pe sajā.ī hai ḳhuun kī tahrīr
ki sher sher nayā intiḳhāb le ke chale
jidhar jidhar se bhī guzre bichhā diyā sailāb
ham ashk le ke chale yā chanāb le ke chale
unhī ke haath 'munavār' lahūluhān hue
jo log mere chaman se gulāb le ke chale