Munawwar Hashmi

chand ki ranaiyon mein raaz ye mastur hai

Munawwar Hashmi

chāñd kī ra.anā.iyoñ meñ raaz ye mastūr hai
ḳhūbsūrat hai vahī jo dastaras se duur hai
apnī sochoñ ke mutābiq kuchh bhī kar saktā nahīñ
aadmī hālāt ke hāthoñ bahut majbūr hai
ḳhāna-e-dil meñ tum apne jhāñk kar dekho zarā
mere iḳhlās-o-mohabbat kā vahāñ bhī nuur hai
husn kī taḳhlīq meñ masrūf hai rabb-e-jahāñ
aur shā.ir husn kī tārīf par māmūr hai
ye hamāre haq meñ achchhā ho burā ho kuchh bhī ho
ham ne karnā hai vahī jo aap ko manzūr hai
vo sarāpā husn hai aur maiñ sarāpā ishq huuñ
saaz se dil us kā merā soz se ma.amūr hai
mujh ko hai manzūr jabr-e-hijr bhī us ke liye
mujh se rah kar duur bhī koī agar masrūr hai
aadmī kam-go hai aur ghar se nikaltā bhī nahīñ
shahr meñ phir bhī 'munavār' kis qadar mash.hūr hai
Top Urdushayar.com