chashm-e-āhū aur hai is kī kahānī aur hai
jis meñ maiñ rahtā huuñ chashm-e-āsmānī aur hai
jis meñ tū shāmil thā vo kuchh aur thā tarz-e-hayāt
ab jo guzre jā rahī hai zindagānī aur hai
ghar ke andar jo huā vo vāqi.a kuchh aur thā
us ne jo sab ko sunā.ī vo kahānī aur hai
ātish-e-ġham ḳhāna-e-dil meñ bujhāne ke liye
aur ro lūñgā abhī āñkhoñ meñ paanī aur hai
tairne se Dūbnā ḳhush-tar hai dil kī naav kā
ġham kā dariyā aur hai is kī ravānī aur hai
ik ġhazal sun kar 'munavār' vo bahut nārāz hai
ik manāne ke liye us ko sunānī aur hai