ḳhayāl-o-ḳhvāb kī duniyā se ham guzar bhī ga.e
jahāñ Thaharnā thā ham ko vahāñ Thahar bhī ga.e
hamāre saath rahe zindagī ke hañgāme
jahāñ jahāñ se bhī guzre jidhar jidhar bhī ga.e
tire ḳhayāl kā dariyā utar na paayā magar
tire ḳhayāl ke dariyā meñ ham utar bhī ga.e
zamāna laakh hamārī muḳhālifat meñ rahā
jo kaam karnā thā ham ko vo kaam kar bhī ga.e
mohabbatoñ meñ bhī lāzim hai e'tidāl kā rañg
ḳhulūs had se baḌhā jab to log Dar bhī ga.e
tumhārā naam isī vāste to zinda hai
tumhāre naam pe marnā thā jin ko mar bhī ga.e
ġham-e-ziyāñ ke sivā kuchh nahīñ hai manzil par
safar kā lutf gayā aur ham-safar bhī ga.e
ham aise log munavvar kahāñ se ā.eñge
jo pastiyoñ meñ rahe aur farāz par bhī ga.e