jahāñ bachpan guzārā thā vo ghar pahchānte haiñ
abhī ham shahr kī har rahguzar pahchānte haiñ
parinde jis taraf jaa.eñ palaT aate haiñ shab ko
vo apnā āshiyāñ apnā shajar pahchānte haiñ
abhī galiyāñ nahīñ bhūleñ mire qadmoñ kī aahaT
mujhe is shahr ke dar-o-dīvār pahchānte haiñ
kabhī mere havāle se rahī pahchān jin kī
mujhe vo paas aa kar soch kar pahchānte haiñ
nahīñ pahchānte kuchh log duniyā meñ to kyā hai
mire fan ko sabhī ahl-e-nazar pahchānte haiñ
jo āñkheñ rauzanoñ se jhāñktī thiiñ ab nahīñ haiñ
gharoñ ke band darvāze magar pahchānte haiñ
'munavār' ham ne yuuñ is shahr kī chīzoñ ko dekhā
musāfir jaise sāmān-e-safar pahchānte haiñ