be-yaqīnī kā ta.alluq bhī yaqīñ se niklā
merā rishta vahī āḳhir ko zamīñ se niklā
mujh ko pahchān tū ai vaqt maiñ vo huuñ jo faqat
ek ġhalatī ke liye arsh-e-barīñ se niklā
ek mire aañkh jhapakne kī zarā der thī bas
vo qarīb aatā huā duur kahīñ se niklā
eḌiyāñ maar ke zaḳhmī bhī hue log magar
koī chashma nahīñ zarḳhez zamīñ se niklā