dil meñ tere ḳhayāl kī ḳhushbū
hijr meñ hai visāl kī ḳhushbū
dil ke jazbe javān rakhtī hai
tere husn-o-jamāl kī ḳhushbū
kaash tere javāb se aa.e
mere har ik savāl kī ḳhushbū
kaash tujh ko bhī ho kabhī mahsūs
mere nā-gufta haal kī ḳhushbū
mujh ko apne zavāl meñ se bhī
aa rahī hai kamāl kī ḳhushbū
ham faqīroñ se duur rahtī hai
hashmat-o-jāh-o-māl kī ḳhushbū
phuul se aa rahī hai jo sab ko
asl meñ hai nihāl kī ḳhushbū
ek paude ke phuul haiñ lekin
hai judā Daal Daal kī ḳhushbū
hai 'munavār' tumhāre hoñToñ meñ
ik parī-ruḳh ke ḳhaal kī ḳhushbū