ek hī mas.ala tā-umr mirā hal na huā
niiñd puurī na huī ḳhvāb mukammal na huā
shahr-e-dil kā jo makīñ hai vo bichhaḌtā kab hai
jis qadar duur gayā aañkh se ojhal na huā
aaj bhī dil kī zamīñ ḳhushk rahī tishna rahī
aaj bhī mā.il-e-altāf vo bādal na huā
raushnī chhan ke tire ruḳh kī na mujh tak pahuñche
ek dīvār huī ye koī āñchal na huā
jin ko ik umr kā nazrāna diye baiThe haiñ
aaj tak us se ta.āruf bhī mufassal na huā
un se milte haiñ bichhaḌ jaate haiñ phir milte haiñ
zinda rahne kā amal ham se musalsal na huā
jis pe rakhnā thī mujhe apnī asās-e-hastī
apnī qismat meñ 'munavār' vahī ik pal na huā