jo zauq-e-nazar ho to turkī meñ aa kar
hayāt-e-azīma ke āsār dekho
lagā kar na.ī chashmak-zanī ham-saroñ se
laqab jis kā thā mard-e-bīmār dekho
miTāne pe jis ke tulā thā zamāna
ubhartā hai vo turk-e-tātār dekho
ba-iz.hār-e-jur.at ye zor-e-sadāqat
hue kis tarah zer aġhyār dekho
ba-sad shaan jaatā hai antakya ko
atāturk kā ḳhāl-e-jarrār dekho
jo so.e hue the jo kho.e hue the
kiyā un ko yak-laḳht bedār dekho
sambhaltī haiñ gir kar chamaktī haiñ miT kar
ye haiñ zinda qaumoñ ke atvār dekho