haar ko jiit ke imkān se bāñdhe hue rakh
apnī mushkil kisī āsān se bāñdhe hue rakh
tujh ko ma.alūm se aage kahīñ jaanā hai to phir
ḳhvāb ko dīda-e-hairān se bāñdhe hue rakh
varna mushkil baḌī hogī yahāñ duniyā-dārī
dekh insān ko insān se bāñdhe hue rakh
jo bhulāne pe kabhī bhuul nahīñ paatā hai
mujh ko apne usī ehsān se bāñdhe hue rakh