nashāt-e-nau kī talab hai na taaza ġham kā jigar
sukūñ-girafta ko kaise ho zer-o-bam kā jigar
agarche tishna-nigāhī misāl-e-sahrā hai
nahīñ hai dast-e-duā ko tire karam kā jigar
jigar ko ishq ne faulād kar diyā hai jab
nahīñ rahā hai sitam-kār ko sitam kā jigar
hai iztirāb-e-jigar lahr lahr par bhārī
kahāñ hai bahr ko is tarah pech-o-ḳham kā jigar
ye kaam top tapanche ke dā.ere kā nahīñ
futūh-e-fikr-o-nazar to hai bas qalam kā jigar
hamāre māthe meñ rakh dī hai daas kī sī sarisht
use ḳhudā ne diyā hai kisī sanam kā jigar
hamārī chaah meñ roī hai zindagī itnā
ki paanī paanī huā jā rahā hai sam kā jigar
jigar kā dam hai ki gard-e-zamīñ se TūTtā hai
agarche toḌ na paayā falak bhī dam kā jigar
bas 'āzam' aaj to had hī ḳhumār ne kar dī
kahīñ se ghol ke le aao tair-e-ram kā jigar