Ikram Azam

le chale ho to kahin dur hi le jaana mujhe

Ikram Azam

Hafizabad, Punjab, Pakistan

le chale ho to kahīñ duur hī le jaanā mujhe
mat kisī bisrī huī yaad se Takrānā mujhe
maiñ to is meñ bhī bahut ḳhush huuñ tirā naam to hai
ek jur.a bhī tire naam kā mai-ḳhāna mujhe
aaj dānista taġhāful se huuñ haarā huā maiñ
kal talak umr kī sachchā.ī thī afsāna mujhe
tū ne bhī maan liyā logoñ kā phailāyā sach
tū ne bhī jaate hue lauT ke dekhā na mujhe
ilm ke taur pe sīkhe haiñ mohabbat ke rumūz
tum binā soche hī kah jaate ho dīvāna mujhe
aa mirī jaan ke dushman tirī tādīb karūñ
terā har vaar lagā ġhair dilerāna mujhe
ab mujhe tū hī batā donoñ meñ kyuuñ tujh ko chunūñ
tū ne rakkhā na mujhe dard ne chhoḌā na mujhe
Top Urdushayar.com