Ikram Azam

zabt ne bhincha to aasab ki chiKHen niklin

Ikram Azam

Hafizabad, Punjab, Pakistan

zabt ne bhīñchā to a.asāb kī chīḳheñ niklīñ
hausla TuuTā to ahbāb kī chīḳheñ niklīñ
vahshateñ aisī alamnāk natā.ej meñ milīñ
jin ke imkān pe asbāb kī chīḳheñ niklīñ
us se fir.aun ke aḳhlāq ne māñgī hai panāh
us se shaddād ke ādāb kī chīḳheñ niklīñ
Dūbne vaale ne kis ishq se tan pesh kiyā
shiddat-e-vasl se girdāb kī chīḳheñ niklīñ
aise guftār ne kirdār kī ḳhil.at nochī
māthe likkhe hue alqāb kī chīḳheñ niklīñ
jo na laa.ī ga.ī us taab kī chīḳheñ niklīñ
muñh pe paḌte hue tezāb kī chīḳheñ niklīñ
lafz ubhre to samāvāt ke kañgare Dole
aur jab Duube to mehrāb kī chīḳheñ niklīñ
Top Urdushayar.com