tire ġham se dil shādmāñ dekhtā huuñ
tujhe rāhat-e-jāvedāñ dekhtā huuñ
zamāne kī bargashtagī kā ye aalam
ki har shai ko dāman-kashāñ dekhtā huuñ
kabhī bijliyāñ raunaq-e-gulistāñ thiiñ
shajar aaj be-āshiyāñ dekhtā huuñ
kabhī apnī māyūsiyoñ par qanā.at
kabhī jānib-e-āsmāñ dekhtā huuñ
kabhī ḳhaak kī rif.atoñ par nazar hai
kabhī charḳh kī pastiyāñ dekhtā huuñ
ik andāz-e-vāraftagī hai na pūchho
kise dekhtā huuñ kahāñ dekhtā huuñ
mohabbat kā adnā tasarruf hai 'hirmāñ'
jahāñ maiñ nahīñ huuñ vahāñ dekhtā huuñ