kiyā shabāb ne barbād-e-rozgār mujhe
payām-e-marg huī da.avat-e-bahār mujhe
agar kahūñ ki na aa.e kabhī qarār mujhe
ab is qadar bhī nahīñ dil pe iḳhtiyār mujhe
nashāt-e-dahr abhī dard se badal jaa.e
milā hai zabt-e-mohabbat kā iḳhtiyār mujhe
agar hai ma.anī-e-dīdār ḳhaak ho jaanā
banā de apnī tajallī kī yādgār mujhe
rahegā ahd-e-guzishta se ik gila 'hirmāñ'
jahāñ meñ chhoḌ gayā kar ke sogvār mujhe