Hirman Khairabadi

aalam ki mushkilat ko aasan banaiye

Hirman Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

aalam kī mushkilāt ko āsāñ banā.iye
ab dard-e-dil ko māya-e-īmāñ banā.iye
yā kījiye na shikva-e-be-lutfī-e-ḳhalish
yā dil ke laḳht laḳht ko paikāñ banā.iye
yā ārzū-e-lutf-o-karam tark kījiye
yā hāl-e-dard qābil-e-darmāñ banā.iye
yā muñh na moḌiye kabhī ālām-e-dahr se
yā zindagī ko be-sar-o-sāmāñ banā.iye
aane hī ko hai manzil-e-maqsūd kī ḳhabar
shīrāza-e-hayāt pareshāñ banā.iye
āsāniyoñ ko mojib-e-āfāt jāniye
dushvāriyoñ ko vaj.h-e-sad-imakāñ banā.iye
jalvoñ ko qaid-e-rasm se āzād kījiye
aalam ko har nigāh meñ hairāñ banā.iye
taklīf kījiye kabhī 'hirmāñ' ke haal par
ik be-navā ko banda-e-ehsāñ banā.iye
Top Urdushayar.com