Hirman Khairabadi

kaho kis tarah hon qail sukun-e-qalb-e-muztar ke

Hirman Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

kaho kis tarah hoñ qaa.il sukūn-e-qalb-e-muztar ke
zarā jumbish huī paidā hue āsār mahshar ke
phirī haiñ aa ki sahar-āfrīñ nazreñ ye kyā kar ke
abhī to jaan sī aa.ī thī ummīdoñ meñ marmar ke
falak ne jis qadar paidā kiye andāz mahshar ke
karishme haiñ vo sab terī adā-e-fitna-parvar ke
tabassum meñ bhī dil ġham kī jhalak pahchān letā hai
ye dard-o-ġham azal se rahne vaale haiñ isī ghar ke
hamārī intihā-e-nā-tavānī hadd-e-manzil hai
salāmat larzish-e-pā kaun le ehsān rahbar ke
kise mālūm husn-e-jalvagar kī kār-farmā.ī
nazar kis se milāte dekhne vaale nazar bhar ke
mire zabt-e-alam ne tāb-e-goyā.ī na dī mujh ko
sunātā ahl-e-ālam ko fasāne zindagī bhar ke
zabāñ kaTtī hai jis dar par sadā dete duā dete
gadā kahlāte haiñ 'hirmāñ' ham us bedard ke dar ke
Top Urdushayar.com