Hirman Khairabadi

sajda-gah-e-ahl-e-dil baad-e-fana ho jaiye

Hirman Khairabadi

Khairabad, Uttar pradesh, India

sajda-gāh-e-ahl-e-dil ba.ad-e-fanā ho jā.iye
saf.ha-e-hastī pe ik naqsh-e-vafā ho jā.iye
pā-e-ḳhud-rafta bhī hāsil zauq-e-behad bhī nasīb
rahnumā kyoñ DhūñDiye ḳhud rahnumā ho jā.iye
sham.a-sūrat ek din jalnā hai apnī aag meñ
lazzat-e-soz-e-darūñ se āshnā ho jā.iye
bandish rañj-o-alam fikr-e-ajal qaid-e-hayāt
dars-e-ulfat lījiye sab se rihā ho jā.iye
jazba-e-ulfat kī qīmat donoñ aalam bhī nahīñ
dījiye dil be-niyāz-e-mudda.ā ho jā.iye
zindagī vo hai kareñ vo jis pe takmīl-e-sitam
yuuñ basar kiije ki un kā mudda.ā ho jā.iye
kuchh na hone par jahāñ ko dard-e-ibrat dījiye
ḳhalq meñ ik paikar-e-ibrat-numā ho jā.iye
mil hī jā.egī kahīñ 'hirmāñ' fazā-e-pur-sukūñ
is jahān āb-o-gil se to judā ho jā.iye
Top Urdushayar.com