kuchh is balā kā tirā rabt-āshnā honā
ki har jafā kā ba-andāza-e-vafā honā
sitam-shi.ār tirī aarzū pe kyā mauqūf
kisī ḳhalish kā gavāra nahīñ judā honā
jahāñ meñ phir na kahīñ vaj.h-e-rashk ho jaa.e
tire karam se mirā mūrid-e-jafā honā
gudāz ishq se ma.amūr kar diyā mujh ko
muhāl hai tire ehsān se adā honā
vo shauq meñ tire iz.hār-e-nāz kā āġhāz
vo mere haal pe har jaur kā ravā honā
huā vo dād-e-vafā chāhne pe kyoñ barham
koī gunāh na thā tālib-e-jazā honā
shab-e-firāq vo halkī sī ik shuā-e-umīd
vo sub.h tak mire jiine kā aasrā honā
bisāt-e-dahr pe āsāñ nahīñ hai kuchh 'hirmāñ'
tirī nigāh ke aalam se āshnā honā