tirī dostī kā kamāl thā mujhe ḳhauf thā na malāl thā
mirā rom rom thā hairatī mirā dil bhī mahv-e-dhamāl thā
koī shāḳh-e-girya lipaT ga.ī mire sūkhte hue jism se
maiñ ḳhizāñ kī rut meñ harā huā ye ''darūd'' hī meñ kamāl thā
abhī reg-e-dasht pe sabt haiñ sabhī naqsh mere sujūd ke
vo jo ma.arke kā sabab huā vahī harf-e-haq mirī Dhaal thā
mirī raakh meñ thiiñ kahīñ kahīñ mere ek ḳhvāb kī kirchiyāñ
mere jism-o-jāñ meñ chhupā huā tirī qurbatoñ kā ḳhayāl thā
inhī hairatoñ meñ basar huī na ḳhabar huī ki sahar huī
ye tamām arsa-e-zindagī ki muhīt-e-shām-e-visāl thā