guftugū karne lage ret ke ambār ke saath
dostī ho ga.ī āḳhir mirī ashjār ke saath
ishq jaise kahīñ chhūne se bhī lag jaatā ho
kaun baiThegā bhalā aap ke bīmār ke saath
sāhibo mujh ko abhī raqs nahīñ aatā hai
jhuum letā huuñ faqat shaam ke āsār ke saath
yaar kuchh bol mujhe kuchh to yaqīñ aa jaa.e
maiñ tujhe dekhtā huuñ dīda-e-bedār ke saath
saf se niklā mirā sālār rajaz paḌhte hue
aur phir merī taraf chal paḌā aġhyār ke saath