Aatif Waheed Yasir

aankhon ko naqsh-e-pa tera dil ko ghubar kar diya

Aatif Waheed Yasir

1985
āñkhoñ ko naqsh-e-pā tirā dil ko ġhubār kar diyā
ham ne vidā-e-yār ko apnā hisār kar diyā
is kī chhuvan se jal uThā mere badan kā rom rom
mujh ko to dast-e-yār ne jaise chīnār diyā
kis ke badan kī narmiyāñ hāthoñ ko gudgudā ga.iiñ
dasht-e-firāq-e-yār ko pahlū-e-yār kar diyā
ab ke to mujh pe is tarah saaqī huā hai mehrbāñ
saare dukhoñ ko chuum kar mai kā ḳhumār kar diyā
maanā suḳhan tirī atā phir bhī kamāl hai mirā
maiñ ne tire jamāl ko rashk-e-bahār kar diyā
mujh se gila bajā magar tum bhī kabhī ye sochnā
mujh ko anā ke raḳhsh par kis ne savār kar diyā
zulmat-e-hijr meñ sadā us ne diyā hai hausla
ab ke magar bujhā diyā us ne bhī haar kar diyā
Top Urdushayar.com