udaas shaam meñ pazhmurda baad ban ke na aa
jo aa sake to ḳhud aa apnī yaad ban ke na aa
kabhī sahar bhī to ban ai visāl ke mausam
sadā yuuñ hī shab-e-marg-e-murād ban ke na aa
tujhe tire mah o anjum kā vāsta ai raat
mire in ujle daroñ par savād ban ke na aa
kitāb-e-zīst ḳhudā-rā koī ġhazal bhī sunā
shikast-e-jāñ kī faqat rūedād ban ke na aa
bhalī lage to ise gungunā bhī ai lab-e-yār
mirī ġhazal pe faqat harf-e-dād ban ke na aa
utar zarūr magar aah sub.h-e-āzādī
kisī zamīn pe vaj.h-e-fasād ban ke na aa