rahzanoñ ke haath saarā intizām aayā to kyā
phir vafā ke mujrmoñ meñ merā naam aayā to kyā
mere qātil tujh ko āḳhir kaun samjhā.e ye baat
par-shikasta ho ke koī zer-e-dām aayā to kyā
phir vo bulvāyā gayā hai karbalā-e-asr meñ
kūfiyoñ ko phir se shauq-e-ehtimām aayā to kyā
kho chukī saarī basīrat so chuke ahl-e-kitāb
āsmānoñ se koī taaza payām aayā to kyā
jab ki un āñkhoñ kī mash.al baam par raushan nahīñ
shahr meñ yāsir koī māh-e-tamām aayā to kyā