na ḳhatra tīrgī se thā na ḳhatra tīrgī kā hai
dar-o-dīvār pe pahrā abhī tak raushnī kā hai
nahā kar ḳhuun meñ kāñToñ pe aksar raqs kartā huuñ
ye mastī be-ḳhudī kī hai ye nashsha zindagī kā hai
hai āḳhir kis liye qazzāq-e-ġham paiham ta.āqub meñ
tasarruf meñ hamāre kyā koī lamha ḳhushī kā hai
milūñ kis taur maiñ ḳhud se tashaḳhḳhus kis tarah DhūñDūñ
yahāñ to ā.ina-dar-ā.īna chehra usī kā hai
ye sochā hai ki chal kar dostoñ ke dar pe dastak duuñ
irāda aaj apne aap se kuchh dushmanī kā hai
mirī āñkhoñ ko nisbat hai kisī ḳhurshed paikar se
na ye shoḳhī anā kī hai na ye partav ḳhudī kā hai
yaqīñ āsār lamhoñ par jo sach pūchho to raaz ab tak
hukūmat vahm hī kī hai tasallut ḳhvāb hī kā hai