kamāñ na tiir na talvār apnī hotī hai
magar ye duniyā ki har baar apnī hotī hai
yahī sikhāyā hai ham ko hamāre logoñ ne
jo jañg jiite vo talvār apnī hotī hai
zabān chiḌiyoñ kī duniyā samajh nahīñ saktī
qubūl-o-rad kī ye takrār apnī hotī hai
na haath suukh ke jhaḌte haiñ jism se apne
na shāḳh koī samar-bār apnī hotī hai
jo haath aa.e use rauñd kar chalā jaa.e
guzarte vaqt kī raftār apnī hotī hai
jagah jagah se nivāle uThāne paḌte haiñ
talāsh-e-rizq kī begār apnī hotī hai