Gyan Chand

kya bataen aap se kya hasti-e-insan hai

Gyan Chand

kyā batā.eñ aap se kyā hastī-e-insān hai
aadmī jazbāt-o-ehsāsāt kā tūfān hai
ishtirākiyyat mirā diin aur mirā īmān hai
kaash motor le sakūñ maiñ ye mirā armān hai
aah is dānish-kade meñ kis qadar hai qaht-e-husn
jab se aayā huuñ yahāñ bazm-e-nazar vīrān hai
ye kitābeñ har taraf hoñ yā butān-e-muntaḳhab
barguzīda hastiyoñ kā ek hī armān hai
fikr kī duniyā meñ columbus banā phirtā huuñ maiñ
ilm kī pahnā.ī kā kitnā baḌā faizān hai
aaj america meñ kal london meñ parsoñ ruus meñ
aadmī kī sar-bulandī kī yahī pahchān hai
is qadar khaa.e haiñ yāroñ ke bichhaḌ jaane ke daaġh
dil nahīñ ab ek ḳhākistar-shuda shamshān hai
jaise jaise baḌh rahā hai merā ohda dostoñ
vaise vaise ruuh merī aur bhī vīrān hai
laḌkhaḌātā Thokareñ khātā kidhar jaatā huuñ maiñ
hai añdherā ghup fazā aur dil-e-sunsān hai
Top Urdushayar.com