Khalid Alig

main Dara nahin main daba nahin mein jhuka nahin main bika nahin

Khalid Alig

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1923-2007
maiñ Darā nahīñ maiñ dabā nahīñ meñ jhukā nahīñ maiñ bikā nahīñ
magar ahl-e-bazm meñ koī bhī to adā-shanās-e-vafā nahīñ
mire jism-o-jāñ pe usī ke saare azaab saare savāb haiñ
vahī ek harf-e-ḳhud-āgahī ki abhī jo maiñ ne kahā nahīñ
na vo harf-o-lafz kī dāvarī na vo zikr o fikr-e-qalandarī
jo mire lahū se likhī thī ye vo qarārdād-e-vafā nahīñ
abhī husn o ishq meñ fāsle adam-e'timād ke haiñ vahī
unheñ aitabār-e-vafā nahīñ mujhe aitabār-e-jafā nahīñ
vo jo ek baat thī guftanī vahī ek baat shunīdnī
jise maiñ ne tum se kahā nahīñ jise tum ne mujh se sunā nahīñ
maiñ salīb-e-vaqt pe kab se huuñ mujhe ab to is se utaar lo
ki sazā bhī kaaT chukā huuñ maiñ mirā faisla bhī huā nahīñ
mirā shahr mujh pe gavāh hai ki har ek ahd-e-siyāh meñ
vo charāġh-e-rāh-e-vafā huuñ maiñ ki jalā to jal ke bujhā nahīñ
Top Urdushayar.com