kaun kahtā hai sar-e-arsh-e-barīñ rahtā hai
vo to ik dard hai jo dil ke qarīñ rahtā hai
chāñd par apne qadam aap ne kyuuñ rok liye
ek gaam aur ki sūraj bhī yahīñ rahtā hai
sham.a kī tarah pighaltā huuñ maiñ lamha lamha
mere ehsās meñ ik sho.ala-jabīñ rahtā hai
dil ke darvāze pe ab kis ko sadā dete ho
muddateñ guzrīñ yahāñ koī nahīñ rahtā hai
vo jo sūraj ko hathelī pe liye phirtā thā
unhīñ tārīk sī galiyoñ meñ kahīñ rahtā hai
jin fazāoñ meñ tamannāoñ kā dam ghaTtā hai
haañ mire daur kā fankār vahīñ rahtā hai
jaane ye shauq kī hai kaun sī manzil 'ḳhusrav'
maiñ kahīñ rahtā huuñ dil merā kahīñ rahtā hai