Ameer Ahmad Khusro

tera KHayal tha lafzon mein Dhal gaya kaise

Ameer Ahmad Khusro

tirā ḳhayāl thā lafzoñ meñ Dhal gayā kaise
diloñ meñ sham-e-ġhazal ban ke jal gayā kaise
vo aadmī jo mirā dost thā zamāne tak
pata nahīñ ki yakāyak badal gayā kaise
bahut hī tez havā sher-e-hādsāt kī thī
maiñ girte girte na jaane sambhal gayā kaise
kahīñ bhī aag lagāne kā vāqi.a na huā
to phir huzūr makāñ merā jal gayā kaise
ḳhalish se jis kī thī vābasta yaad manzil kī
vo ḳhaar paañv se 'ḳhusrav' nikal gayā kaise
Top Urdushayar.com