Shafeeq Abbas

ab aaftab-e-munawwar pe qurb-e-sham hua

Shafeeq Abbas

ab āftāb-e-munavvar pe qurb-e-shām huā
ik aur saal mirī umr kā tamām huā
ragoñ meñ gardish-e-ḳhūñ kā ġhulām Thahrā hai
na us badan kā kabhī mujh se ehtirām huā
mire chahār-taraf hai hisār-e-maharūmī
tamām-umr kaTī aur na koī kaam huā
koī zamīn na daldal na āsmān hai ab
kahāñ pahuñch ke mirī rah kā iḳhtitām huā
ajab latīf sī tezābiyat thī lahje meñ
baḌe ḳhulūs se jis dam vo ham-kalām huā
sunā hai raat farishte chhupe the ma.abad meñ
hamāre shahar meñ phir aaj qatl-e-ām huā
hazār qatl ke badle meñ ye sa.ādat hai
ki ek shaḳhs kisī qaum kā imaam huā
Top Urdushayar.com