kab se maañg rahe haiñ tum se
sāġhar se miinā se ḳhum se
ham bhī kuchh kuchh kho.e hue haiñ
aap bhī lagte haiñ gum-sum se
jāgeñge be-jān se jazbe
tere dahan ke harf-e-qum se
dosh-e-faras se dekheñ nīche
ek bañdhā hai dil bhī sum se
sun lo fasāna aañkh kā merī
dariyā se nadī se qulzum se