Afeef Siraj

harim-e-dil se nikal aankh ke sarab mein aa

Afeef Siraj

harīm-e-dil se nikal aañkh ke sarāb meñ aa
mirī tarah kabhī maidān-e-iztirāb meñ aa
payambaroñ kī zabānī kahī sunī ham ne
vo kah rahā thā ki mere bhī intiḳhāb meñ aa
sunā hai aaj amārī falak se utregī
mujhe bhī niiñd gar aa.e to mere ḳhvāb meñ aa
tujhe ḳhudā.ī kā da.avā hai gar to kam se kam
zamīn par koī din rañg-e-bū-turāb meñ aa
abhī haiñ saare savālāt tishna-kām mire
uThā ke kāñdhe pe miinā mire javāb meñ aa
utaar dī haiñ bhañvar meñ bhī kashtiyāñ ham ne
samundaroñ meñ agar hai to is habāb meñ aa
Top Urdushayar.com