barsoñ ke jaise lamhoñ meñ ye raat guzartī jā.egī
tum sāmne aa.e gar dil kī dhaḌkan bhī Thahar hī jā.egī
parde meñ rahūñ āñkheñ merī betāb to haiñ par taab nahīñ
be-tābī-e-dil lamhātī hai hālat ye sambhālī jā.egī
ā.īna-e-dil shaffāf to ho ham ko bhī sañvarnā lāzim hai
ham ko bhī pata hai milne par chehre kī bahālī jā.egī
kuchh ḳhud meñ kashish paidā kar lo ki mahfil tum se aañkh bhare
ye chaal baḌe ayyār kī hai ye chaal na ḳhālī jā.egī
ai kāshif-e-soz-e-hastī sun hai tujh meñ nihāñ asrār kī bū
gar terā guzar gulshan se huā har baat nikālī jā.egī