Afeef Siraj

hum ahl-e-nazara sham-o-sahar aankhon ko fidya karte hain

Afeef Siraj

ham ahl-e-nazāra shām-o-sahar āñkhoñ ko fidya karte haiñ

ham jalva jalva kahte haiñ vo parda parda karte haiñ

ai nāseh kyā kahtā hai vo aajiz hai mai-noshī se

le toḌ rahe haiñ sāġhar ko ham aaj tauba karte haiñ

sarkār hai bāzār bhī kyā har jins ḳharīdī jaatī hai

bech aa.e sab īmān dharam ham sar saudā karte haiñ

jab ham ne zabāñ kholī apnī maslūb hue maqtūl hue

ye dekhiye ham ḳhāmosh hue sab merā charchā karte haiñ

ye kunj-e-qafas ye āh-o-bukā ye rañj-o-alam haiñ mere liye

kyā baat huī mil kar ham se kyūñkar vo girya girte haiñ

vo dil apnā bahlāte haiñ is shām-o-sahar ke khel meñ ham

har sub.h dabāte haiñ jazbe har shaam vo fitna karte haiñ

jab baat vafā aatī hai jab manzar rañg badaltā hai

aur baat bigaḌne lagtī hai vo phir ik va.ada karte haiñ

Top Urdushayar.com