shauq-e-vārafta chalā shahr-e-tamāshā kī taraf
baḌh ga.e ham bhī hisār-e-husn-e-lailā kī taraf
ham se maujeñ kah rahī thiiñ aa mirī āġhosh meñ
ham kahāñ yuuñ jā rahe the mauj-e-dariyā kī taraf
is qadar Duube gunāh-e-ishq meñ tere habīb
sochte haiñ jā.eñge kis muñh se tauba kī taraf
kyā zarūrī hai ki hirs-e-jalva-e-sad-rañg meñ
har nazar bhaTke kisī bhī husn-ārā kī taraf
āyat-e-husn-o-mohabbat se hai bas do hī murād
ek hai merī taraf ik māh-pāra kī taraf
shahr-e-dil vīrāna kardam pā-ba-jaulāñ mī-kunī
jī khiñchā jaatā hai apnā ab to sahrā kī taraf
saarī duniyā dushman-e-jāñ ban ga.ī hai ai 'sirāj'
koī patthar bhī na aayā tere shaidā kī taraf