vo jo husn-e-kul kī dalīl thā vo ḳhayāl aa ke sajā gayā
laḌīñ yuuñ nigāh se bijliyāñ koī jaise parde uThā gayā
maiñ hikāyat-e-dil-e-be-navā meñ ishārat-e-ġham-e-jāvidāñ
maiñ vo harf-e-āḳhir-e-motabar jo likhā gayā na paḌhā gayā
maiñ charāġh-e-hasrat-e-nīm-shab meñ sharār-e-ātish-e-jāñ-ba-lab
dil-e-pur-umīd kī lau thā maiñ mujhe ḳhud vo aa ke bujhā gayā
maiñ ġhubār-e-rāh-e-talab rahā huā dar-ba-dar jo chalī havā
maiñ ujaḌ ke jab huā mutma.in to vo mujh ko dil meñ basā gayā
pas-e-parda dil kā rafīq thā sar-e-parda merā raqīb thā
maiñ miyān-e-radd-o-qubūl thā ki vo aa ke parda haTā gayā
mujhe fikr thī mirī zaat par koī rañg bhī na chaḌhe magar
vo kamāl-e-ġhairat-e-ā.ina mirā aks mujh ko dikhā gayā
mirā dil amiiñ thā nigāh kā thī nigāh mahram-e-tajraba
vo fusūn-e-jalvā kī aabrū mire tajraboñ ko miTā gayā