bastī tamām ḳhvāb kī vīrān ho ga.ī
yuuñ ḳhatm shab huī sahar āsān ho ga.ī
be-fikr ho gayā huuñ dil-o-jāñ se is liye
us kī nigāh-e-nāz nigahbān ho ga.ī
hai martaba buland sitāroñ se ai falak
merā nasīb ḳhāk-e-khurāsān ho ga.ī
shaffāf thā ye shīsha-e-dil us ke sāmne
bijlī kaḌak ke aap hī hairān ho ga.ī
uljhā huā thā ishq meñ pahle hī nā-murād
nāgāh ruḳh pe zulf pareshān ho ga.ī