tire shahr-e-amn kā kyā kaheñ ki har ik makān judā sā hai
haiñ daroñ pe qufl lage hue sar-e-tāq diip bujhā sā hai
tirā dasht bhī to hai be-karāñ mirī vahshatoñ kī bhī had nahīñ
mire jurm-e-ḳhāna-ḳharāb ko to ye rahguzar bhī dilāsā hai
tirī yaad aa.ī to kis tarah maiñ pukārtā hī chalā gayā
koī dam rukā to ḳhabar huī ki ye koh koh-e-nidā sā hai
mirī ġhairat-e-hama-gīr ne mujhe tere dar se uThā diyā
kuchh anā kā zor jo kam huā to ḳhabar huī tū ḳhudā sā hai
abhī lā kī manzil-e-saḳht meñ huuñ fareb-o-vahm-o-gumāñ liye
mire dil meñ phir bhī basā huā tirā naam radd-e-balā sā hai
ye masāfateñ shab-e-tār kī ye na ḳhatm hone ke silsile
abhī fāsla rag-e-jāñ se hai to hanūz garche zarā sā hai
tire ḳhatt-e-husn-e-jamāl ko mire harf-e-ā.ina-sāz ne
ka.ī rañg de diye pur-kashish magar ab bhī ek ḳhalā sā hai