ai dard na tham sar aur uThā dil chāragarī kī raah na tak
dekh ashk-fishāñ hai ab tujh par sahrāoñ meñ dīvāna tak
tum lauT chuke ho gar to kaho yā baaqī hai armān abhī
pahle hī tumheñ ham de baiThe haiñ jaan kā ye nazrāna tak
sahrā meñ base sab dīvāne shahroñ meñ bhī mahshar hai barpā
allāh tirī is ḳhilqat se baaqī na rahā vīrāna tak
timsāl pe ḳhūn-e-nāhaq bhī aur ātish-e-zulm-o-jaur bhī hai
Duubī huī chashm-e-shauq bhī hai ḳhush-rañg ruḳh-e-jānāna tak
khiḌkī darvāze band karo masnad bhī sameTo ai logo
mutrib bhī ga.e sham.eñ bhī bujhīñ aur ḳhatm huā afsāna tak