mere junūn-e-shauq ko itnī sī kā.enāt bas
kār-e-darāz ke liye chhoTī sī ye hayāt bas
kaisī haiñ āzmā.isheñ kaisā ye imtihān hai
mere junūñ ke vāste hijr kī ek raat bas
vo hai jamāl-e-be-karāñ qaidī-e-rañg hai nazar
dīda-e-shauq dekh le ā.īna-e-sifāt bas
saare jahāñ kī tohmateñ lag chukīñ ham pe shahr meñ
diije na ab safā.iyāñ kiije na ham se baat bas
hūr-o-qusūr-o-mai sabhī ahl-e-safā ke vāste
mujrim-e-ishq ke liye va.ada-e-yak-najāt bas