kaaTe haiñ din hayāt ke lāchār kī tarah
kahne ko zindagī hai ye gulzār kī tarah
ma.alūm hī na thiiñ unheñ kuchh apnī qīmateñ
ahl-e-qalam bike yahāñ aḳhbār kī tarah
taqrīr us ne kī thī hamāre ḳhilāf jo
har lafz chubh rahā hai hameñ ḳhaar kī tarah
kyā tum pe e'tibār kareñ tum hī kuchh kaho
qaul-o-qarār karte ho sarkār kī tarah
niklegī kaise koī mulāqāt kī sabīl
duniyā khaḌī hai raah meñ dīvār kī tarah
dīvār-o-dar pe 'kirishnā' kī liilā ke naqsh hai
mandir hai ye to 'krishn' ke darbār kī tarah
ġhairat hameñ aziiz hai ġhairat se ham jiye
pahnī hai ham ne sar pe ye dastār kī tarah
ai 'shobhā' dekh un kī zarā ḳhush-libāsiyāñ
nikle haiñ ban ke vo kisī gulzār kī tarah