Shobha Kukkal

tere aangan mein hai jo peD phulon se lada hoga

Shobha Kukkal

tire āñgan meñ hai jo peḌ phūloñ se ladā hogā
tire ghar kā jo rasta hai baḌā hī ḳhushnumā hogā
gavārā kab mujhe hogā kisī ehsās kā Dhonā
hai qarzā is janam kā is janam meñ hī adā hogā
na jaane kab mire bhārat meñ vo sarkār aa.egī
ki jis sarkār ke hāthoñ ġharīboñ kā bhalā hogā
vo lamhe zindagī ke jo tire ham-rāh guzre haiñ
unhīñ kī yaad se jīvan baḌā zā.iqa hogā
jo dard-e-dil atā kartā hai sab ko us se pūchheñge
davā-e-dard-e-dil bhī koī āḳhir bechtā hogā
charāġh-e-dil jalā rakkhā thā āb-o-tāb se ham ne
havā-e-ġham chalī hogī tabhī to ye bujhā hogā
Top Urdushayar.com