ḳhvāb the mere kuchh suhāne se
aap ko kyā milā miTāne se
rāh-e-haq par jo log chalte haiñ
ḳhauf khāte nahīñ zamāne se
ham ko dil kā sukūn miltā hai
fāqa-mastoñ ko kuchh khilāne se
bad-duā mat ġharīb kī lenā
baaz rahnā use satāne se
ban ke aate haiñ kaise kaise log
ai ḳhudā tere kār-ḳhāne se
muskurāte raho ḳhudā ke liye
phuul jhaḌte haiñ muskurāne se
un se miltī huuñ maiñ adab ke saath
log milte haiñ jab purāne se
kah ke achchhī ġhazal bhī ai 'shobhā'
Dartī ho kis liye sunāne se