bāteñ karne meñ to duniyā meñ sabhī hoshyār the
saath dete mushkiloñ meñ vo to bas do-chār the
ham se jo karte rahe va.ade hamesha be-shumār
vaqt paḌne par mukarne ko sadā tayār the
zindagī ne ham ko dī haiñ nemateñ yuuñ to bahut
un kā sadupyog karne se hamīñ lāchār the
log jo apne farā.ez se rahe ġhāfil sadā
māñgte phir kis liye apne sabhī adhikār the
dete rahte the duhā.ī jo hamesha pyaar kī
pyaar kī rāhoñ meñ vo ban kar khaḌe dīvār the
vaqt-e-āḳhir koī aatā hai kisī ke kaam kab
kaam aa.e jo mire vo mere hī upkār the
haiñ ajab dastūr mere desh meñ ye in dinoñ
ghar meñ chorī jo kareñ vo ghar ke pahre-dār the