ye kah kah ke ham dil ko bahlā rahe haiñ
mulāqāt ke din qarīb aa rahe haiñ
vo gulshan meñ yuuñ sair farmā rahe haiñ
idhar aa rahe haiñ udhar jā rahe haiñ
saroñ par masā.ib bhī mañDlā raheñ haiñ
magar giit ḳhushiyoñ ke ham gā rahe haiñ
samajhne ko koī bhī raazī nahīñ hai
hamīñ dil to ham dil ko samjhā rahe haiñ
sulajhtī nahīñ zulf bhī jin se apnī
masā.il zamāne ke suljhā rahe haiñ
na ahl-e-siyāsat kī chāloñ meñ aanā
vo jaal apnā har or phailā rahe haiñ
jinheñ tum ne Thukrā diyā thā kisī din
abhī tak vo zaḳhmoñ kā sahlā rahe haiñ